1. ada-e-ishq hoon poori ana ke saath hoon main..

ada-e-ishq hoon poori ana ke saath hoon main
khud apne saath hoon ya'ni khuda ke saath hoon main

mujavaraan-e-hawas tang hain ki yun kaise
baghair sharm-o-haya bhi haya ke saath hoon main

safar shuruat to hone de apne saath mera
tu khud kahega ye kaisi bala ke saath hoon main

main choo gaya to tira rang kaat daaloonga
so apne aap se tujh ko bacha ke saath hoon main

durood-bar-dil-e-wahshi salaam-bar-tap-e-ishq
khud apni hamd khud apni sana ke saath hoon main

yahi to farq hai mere aur un ke hal ke beech
shikaayaten hain unhen aur raza ke saath hoon main

main awwaleen ki izzat mein aakhireen ka noor
vo intiha hoon ki har ibtida ke saath hoon main

dikhaai doon bhi to kaise sunaai doon bhi to kyun
wara-e-naqsh-o-nawa hoon fana ke saath hoon main

b-hukm-e-yaar love kabz karne aati hai
bujha rahi hai bujaaye hawa ke saath hoon main

ye saabireen-e-mohabbat ye kaashifeen-e-junoon
inhi ke sang inheen auliya ke saath hoon main

kisi ke saath nahin hoon magar jamaal-e-ilaaha
tiri qism tire har mubtala ke saath hoon main

zamaane bhar ko pata hai main kis tariq pe hoon
sabhi ko ilm hai kis dil-ruba ke saath hoon main

munaafiqeen-e-tasavvuf ki maut hoon main ali
har ik aseel har ik be-riya ke saath hoon main 
---------------------------------------------
अदा-ए-इश्क़ हूँ पूरी अना के साथ हूँ मैं
ख़ुद अपने साथ हूँ या'नी ख़ुदा के साथ हूँ मैं

मुजावरान-ए-हवस तंग हैं कि यूँ कैसे
बग़ैर शर्म-ओ-हया भी हया के साथ हूँ मैं

सफ़र शुरूअ' तो होने दे अपने साथ मिरा
तू ख़ुद कहेगा ये कैसी बला के साथ हूँ मैं

मैं छू गया तो तिरा रंग काट डालूँगा
सो अपने आप से तुझ को बचा के साथ हूँ मैं

दुरूद-बर-दिल-ए-वहशी सलाम-बर-तप-ए-इश्क़
ख़ुद अपनी हम्द ख़ुद अपनी सना के साथ हूँ मैं

यही तो फ़र्क़ है मेरे और उन के हल के बीच
शिकायतें हैं उन्हें और रज़ा के साथ हूँ मैं

मैं अव्वलीन की इज़्ज़त में आख़िरीन का नूर
वो इंतिहा हूँ कि हर इब्तिदा के साथ हूँ मैं

दिखाई दूँ भी तो कैसे सुनाई दूँ भी तो क्यूँ
वरा-ए-नक़्श-ओ-नवा हूँ फ़ना के साथ हूँ मैं

ब-हुक्म-ए-यार लवें क़ब्ज़ करने आती है
बुझा रही है? बुझाए हवा के साथ हूँ मैं

ये साबिरीन-ए-मोहब्बत ये काशिफ़ीन-ए-जुनूँ
इन्ही के संग इन्हीं औलिया के साथ हूँ मैं

किसी के साथ नहीं हूँ मगर जमाल-ए-इलाहा
तिरी क़िस्म तिरे हर मुब्तला के साथ हूँ मैं

ज़माने भर को पता है मैं किस तरीक़ पे हूँ
सभी को इल्म है किस दिल-रुबा के साथ हूँ मैं

मुनाफ़िक़ीन-ए-तसव्वुफ़ की मौत हूँ मैं 'अली'
हर इक असील हर इक बे-रिया के साथ हूँ मैं
Read more

2. khayal mein bhi use be-rida nahin kiya hai..

khayal mein bhi use be-rida nahin kiya hai
ye zulm mujhse nahin ho saka nahin kiya hai

main ek shakhs ko eimaan jaanta hoon to kya
khuda ke naam par logon ne kya nahin kiya hai

isiliye to main roya nahin bichhadte samay
tujhe ravana kiya hai juda nahin kiya hai

ye bad-tameez agar tujhse dar rahe hain to phir
tujhe bigaad kar maine bura nahin kiya hai 
-----------------------------------------
ख़याल में भी उसे बे-रिदा नहीं किया है
ये ज़ुल्म मुझसे नहीं हो सका नहीं किया है

मैं एक शख़्स को ईमान जानता हूँ तो क्या
ख़ुदा के नाम पर लोगों ने क्या नहीं किया है

इसीलिए तो मैं रोया नहीं बिछड़ते समय
तुझे रवाना किया है जुदा नहीं किया है

ये बद-तमीज़ अगर तुझसे डर रहे हैं तो फिर
तुझे बिगाड़ कर मैंने बुरा नहीं किया है
Read more

3. Pyaar mein jism ko yak-sar na mita jaane de..

Pyaar mein jism ko yak-sar na mita jaane de
Qurbat-e-lams ko gaali na bana jaane de

Tu jo har roz naye husn pe mar jaata hai
Tu batayega mujhe 'Ishq hai kya'? Jaane de

Chai peete hain kahin baith ke dono bhai
Ja chuki hai na toh bas chhod chal aa jaane de
---------------------------------------------
प्यार में जिस्म को यकसर न मिटा जाने दे
कुर्बत-ए-लम्स को गाली ना बना जाने दे 

तू जो हर रोज़ नए हुस्न पे मर जाता है 
तू बताएगा मुझे 'इश्क़ है क्या'? जाने दे 

चाय पीते हैं कहीं बैठ के दोनों भाई 
जा चुकी है ना तो बस छोड़ चल आ जाने दे 

Read more

4. haalat jo hamaari hai tumhaari to nahin hai..

haalat jo hamaari hai tumhaari to nahin hai
aisa hai to phir ye koi yaari to nahin hai

tahqeer na kar ye meri udhadi hui gudadi
jaisi bhi hai apni hai udhaari to nahin hai

tanha hi sahi lad to rahi hai vo akeli
bas thak ke giri hai abhi haari to nahin hai

ye tu jo mohabbat mein sila maang raha hai
ai shakhs tu andar se bhikaari to nahin hai

jitni bhi kama li ho bana li ho ye duniya
duniya hai to phir dost tumhaari to nahin hai 
--------------------------------------------
हालत जो हमारी है तुम्हारी तो नहीं है
ऐसा है तो फिर ये कोई यारी तो नहीं है

तहक़ीर ना कर ये मेरी उधड़ी हुई गुदड़ी
जैसी भी है अपनी है उधारी तो नहीं है

तनहा ही सही लड़ तो रही है वो अकेली
बस थक के गिरी है अभी हारी तो नहीं है

ये तू जो मोहब्बत में सिला मांग रहा है
ऐ शख्स तू अंदर से भिखारी तो नहीं है

जितनी भी कमा ली हो बना ली हो ये दुनिया
दुनिया है तो फिर दोस्त तुम्हारी तो नहीं है
Read more

5. nekiya aur bhalaaiya maula..

nekiya aur bhalaaiya maula
sab ke sab khudnumaaiya maula

apni koi dukaandaari nahin
apni kaisi kamaaiyaan maula

subhanallah ek sharaarat bhara sawaal karoon
auratein kyun banaaiya maula 
---------------------------------
नेकिया और भलाईया मौला
सब के सब खुदनुमाईया मौला

अपनी कोई दुकानदारी नहीं
अपनी कैसी कमाईयाँ मौला,

सुभानल्लाह एक शरारत भरा सवाल करूं
औरतें क्यों बनाईया मौला
Read more

6. khuda banda tane tanhaa gaya hai..

khuda banda tane tanhaa gaya hai
sue dariya mera pyaasa gaya hai

ajal se lekar ab tak auraton ko
siwaye jism kya samjha gaya hai

khuda ki shayari hoti hai aurat
jise pairo'n tale raunda gaya hai

tumhein dil ke chale jaane pe kya gam
tumhaara kaun sa apna gaya hai
-------------------------------
खुदा बंदा तने तन्हा गया है
सुए दरिया मेरा प्यासा गया है्

अजल से लेकर अब तक औरतों को
सिवाय जिस्म क्या समझा गया है।

खुदा की शायरी होती है औरत
जिसे पैरों तले रौंदा गया है

तुम्हें दिल के चले जाने पे क्या गम
तुम्हारा कौन सा अपना गया है
Read more

7. chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon..

chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon
har parda parda nahin hota itna main bhi jaanta hoon

saare mard ek jaise hain tumne kaise kah daala
main bhi to ek mard hoon tumko khud se behtar maanta hoon

maine usse pyaar kiya hai milkiiyat ka daava nahin
vo jiske bhi saath hai main usko bhi apna maanta hoon

chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon
har parda parda nahin hota itna main bhi jaanta hoon 
--------------------------------------------------
चादर की इज्जत करता हूं और पर्दे को मानता हूं
हर पर्दा पर्दा नहीं होता इतना मैं भी जानता हूं

सारे मर्द एक जैसे हैं तुमने कैसे कह डाला
मैं भी तो एक मर्द हूं तुमको खुद से बेहतर मानता हूं

मैंने उससे प्यार किया है मिल्कियत का दावा नहीं
वो जिसके भी साथ है मैं उसको भी अपना मानता हूं

चादर की इज्जत करता हूं और पर्दे को मानता हूं
हर पर्दा पर्दा नहीं होता इतना मैं भी जानता हूं
Read more

8. main sochta hoon na jaane kahaan se aa gaye hain..

main sochta hoon na jaane kahaan se aa gaye hain
hamaare beech zamaane kahaan se aa gaye hain

main shehar waala sahi tu to gaav-zaadi hai
tujhe bahaane banaane kahaan se aa gaye hain

mere watan tere chehre ko noche waale
ye kaun hain ye gharaane kahaan se aa gaye hain 
-------------------------------------------------
मैं सोचता हूँ न जाने कहाँ से आ गए हैं
हमारे बीच ज़माने कहाँ से आ गए हैं

मैं शहर वाला सही, तू तो गाँव-ज़ादी है
तुझे बहाने बनाने कहाँ से आ गए हैं

मेरे वतन तेरे चेहरे को नोचने वाले
ये कौन हैं ये घराने कहाँ से आ गए हैं
Read more

9. gul-e-shabaab mahakta hai aur bulaata hai..

gul-e-shabaab mahakta hai aur bulaata hai
meri ghazal koi pashto mein gungunata hai

ajeeb taur hai uske mijaaz-e-shaahi ka
lade kisi se bhi aankhen mujhe dikhaata hai

tum uska haath jhatak kar ye kyun nahin kahtiin
tu jaanwar hai jo aurat pe haath uthaata hai
-------------------------------------
गुल-ए-शबाब महकता है और बुलाता है
मेरी ग़ज़ल कोई पश्तो में गुनगुनाता है

अजीब तौर है उसके मिजाज-ए-शाही का
लड़े किसी से भी, आंखें मुझे दिखाता है

तुम उसका हाथ झटक कर ये क्यों नहीं कहतीं
तू जानवर है जो औरत पे हाथ उठाता है
Read more

10. jo ism-o-jism ko baaham nibhaane waala nahi..

jo ism-o-jism ko baaham nibhaane waala nahi
main aise ishq par eimaan laane waala nahin

main paanv dhoke piyuun yaar banke jo aaye
munaafiqon ko to main munh lagaane waala nahin

bas itna jaan le ai pur-kashish ke dil tujhse
bahl to saka hai par tujh pe aane waala nahin

tujhe kisi ne galat kah diya mere baare
nahin miyaan main dilon ko dukhaane waala nahin

sun ai kaabila-e-kufi-dilaan mukarrar sun
ali kabhi bhi hajeemat uthaane waala nahin 
---------------------------------------------
जो इस्म-ओ-जिस्म को बाहम निभाने वाला नही
मैं ऐसे इश्क़ पर ईमान लाने वाला नहीं

मैं पांव धोके पियूं, यार बनके जो आए
मुनाफ़िक़ों को तो मैं मुंह लगाने वाला नहीं

बस इतना जान ले ऐ पुर-कशिश के दिल तुझसे
बहल तो सकता है पर तुझ पे आने वाला नहीं

तुझे किसी ने गलत कह दिया मेरे बारे
नहीं मियां मैं दिलों को दुखाने वाला नहीं

सुन ऐ काबिला-ए-कुफी-दिलाँ मुकर्रर सुन
अली कभी भी हजीमत उठाने वाला नहीं
Read more

11. chamakte din bahut chaalaak hai shab jaanti hai..

chamakte din bahut chaalaak hai shab jaanti hai
use pehle nahin maaloom tha ab jaanti hai

ye rishtedaar usko isliye jhuthla rahe hain
vo rishta maangne waalon ka matlab jaanti hai

jo dukh usne sahe hain uski beti to na dekhe
vo maa hai aur maa hone ka mansab jaanti hai

ye agli rau mein baithi mujhse sarvat sunne waali
main uske vaaste aaya hoon ye sab jaanti hain 
---------------------------------------------
चमकते दिन बहुत चालाक है शब जानती है
उसे पहले नहीं मालूम था अब जानती है

ये रिश्तेदार उसको इसलिए झुठला रहे हैं
वो रिश्ता मांगने वालों का मतलब जानती है

जो दुख उसने सहे हैं उसकी बेटी तो ना देखे
वो मां है और मां होने का मनसब जानती है

ये अगली रौ में बैठी मुझसे सर्वत सुनने वाली
मैं उसके वास्ते आया हूं ये सब‌ जानती हैं
Read more

12. yaar to uske saalgirah par kya kya tohfe laaye hain..

yaar to uske saalgirah par kya kya tohfe laaye hain
aur idhar hamne uski tasveer ko sher sunaayein hain

aap se badhkar kaun samajh saka hai rang aur khushboo ko
aapse koi bahs nahin hai aap uske hamsaayein hai

kisi bahaane se uski naarazi khatm to karne thi
uske pasandeeda shayar ke sher use bhejavai hain 
--------------------------------------------------
यार तो उसके सालगिराह पर क्या क्या तोहफें लाए हैं
और इधर हमने उसकी तस्वीर को शेर सुनाएं हैं

आप से बढ़कर कौन समझ सकता है रंग और खुशबू को
आपसे कोई बहस नहीं है आप उसके हमसाएं है

किसी बहाने से उसकी नाराजी खत्म तो करनी थी
उसके पसंदीदा शायर के शेर उसे भिजवाए हैं
Read more

13. baat muqaddar ki hai saari waqt ka likkha maarta hai..

baat muqaddar ki hai saari waqt ka likkha maarta hai
kuchh sajdon mein mar jaate hain kuchh ko sajda maarta hai

sirf ham hi hain jo tujh par poore ke poore marte hain
varna kisi ko teri aankhen kisi ko lahza maarta hai

dilwaale ek dooje ki imdaad ko khud mar jaate hain
duniyadaar ko jab bhi maare duniyaavaala maarta hai

shehar mein ek naye kaatil ke husn-e-sukhan ke balve hain
usse bach ke rahna sher suna ke banda maarta hai 
------------------------------------------------
बात मुकद्दर की है सारी वक्त का लिक्खा मारता है
कुछ सजदों में मर जाते हैं कुछ को सजदा मारता है

सिर्फ हम ही हैं जो तुझ पर पूरे के पूरे मरते हैं
वरना किसी को तेरी आंखें, किसी को लहज़ा मारता है

दिलवाले एक दूजे की इमदाद को खुद मर जाते हैं
दुनियादार को जब भी मारे दुनियावाला मारता है

शहर में एक नए कातिल के हुस्न-ए-सुखन के बलवे हैं
उससे बच के रहना शेर सुना के बंदा मारता है
Read more

14. man jis ka maula hota hai..

man jis ka maula hota hai
vo bilkul mujh sa hota hai

tum mujhko apna kahte ho
kah lene se kya hota hai

achhi ladki zid nahin karte
dekho ishq bura hota hai

aankhen hans kar pooch rahi hain
neend aane se kya hota hai

mitti ki izzat hoti hai
paani ka charcha hota hai

marne mein koi bahs na karna
mar jaana achha hota hai 
-------------------------
मन जिस का मौला होता है
वो बिल्कुल मुझ सा होता है

तुम मुझको अपना कहते हो
कह लेने से क्या होता है

अच्छी लड़की ज़िद नहीं करते
देखो इश्क़ बुरा होता है

आँखें हंस कर पूछ रही हैं
नींद आने से क्या होता है

मिट्टी की इज़्ज़त होती है
पानी का चर्चा होता है

मरने में कोई बहस ना करना
मर जाना अच्छा होता है
Read more

15. apne yaaron se bahut door nahin hota tha..

apne yaaron se bahut door nahin hota tha
yaar tu un dinon mashhoor nahin hota tha

mujhko lagta hai tujhe dil ki dua lag gai hai
tere chehre par to ye noor nahin hota tha

koi to dukh hai jo waapas nahin deta
varna main ghar se kabhi door nahin hota tha 
-----------------------------------------
अपने यारों से बहुत दूर नहीं होता था
यार तू उन दिनों मशहूर नहीं होता था

मुझको लगता है तुझे दिल की दुआ लग गई है
तेरे चेहरे पर तो ये नूर नहीं होता था

कोई तो दुःख है जो वापस नहीं देता
वरना मैं घर से कभी दूर नहीं होता था

Read more

16. ham yun hi nahin shah ke azaadaar hue hain..

ham yun hi nahin shah ke azaadaar hue hain
nasli hain to asli ke parastaar hue hain

tohmat to laga dete ho bekaari ki hampar
poocho to sahi kislie bekar hue hain

sab aake mujhe kahte hain murshid koi chaara
jis jis ko dar ae yaar se inkaar hue hain

ye vo hain jinhen maine sukhun karna sikhaaya
ye lehje mere saamne talwaar hue hain

milne to akela hi use jaana hai zaryoon
ye dost magar kislie taiyaar hue hain 
------------------------------------------
हम यूँ ही नहीं शह के अज़ादार हुए हैं
नस्ली हैं तो अस्ली के परस़्तार हुए हैं

तोहमत तो लगा देते हो बेकारी की हमपर
पूछो तो सही किसलिए बेकार हुए हैं

सब आके मुझे कहते हैं मुर्शिद कोई चारा
जिस जिस को दर ए यार से इन्कार हुए हैं

ये वो हैं जिन्हें मैंने सुख़न करना सिखाया
ये लहजे मेरे सामने तलवार हुए हैं

मिलने तो अकेले ही उसे जाना है "ज़रयून"
ये दोस्त मगर किसलिए तैयार हुए हैं?
Read more

17. mujhe to sab tamasha lag raha hai..

mujhe to sab tamasha lag raha hai
khuda se pooch use kya lag raha hai

vaba ke din guzarte ja rahe hain
madeena aur saccha lag raha hai

azziziyat se take jaata hoon khudko
tumhein ye ghar mein rahna lag raha hai

khud apne saath rahna pad gaya tha
aur ab dushman bhi achha lag raha hai
--------------------------------------
मुझे तो सब तमाशा लग रहा है
खुदा से पूछ उसे क्या लग रहा है

वबा के दिन गुज़रते जा रहे हैं
मदीना और सच्चा लग रहा है

अज़्जी़यत से तके जाता हूँ खुदको
तुम्हें ये घर में रहना लग रहा है

खुद अपने साथ रहना पड़ गया था
और अब दुश्मन भी अच्छा लग रहा है
Read more

18. vo hi kartaba teri yaad ka vo hi nai nava ae khayal hai..

vo hi kartaba teri yaad ka vo hi nai nava ae khayal hai
vo hi main jo tha tere hijr mein vo hi mashhad ae khaddo khaal hai

teri neend kiske liye udri mera khwaab kisne bujha diya
ise sun kar rookh nahin pherna tere maatami ka sawaal hai

ye mazaq to nahin ho raha main khushi se to nahin ro raha
koi film to nahin chal rahi meri jaan ye mera haal hai

kisi saiyada ke charan padhoon koi kaazmi jo dua kare
koi ho jo gham ki haya kare mera karbalaai malaal hai

vo charaagh ae shehar ae vifaq hai mere saath jiska firaq hai
bhale door paar se hi sahi mera raabta to bahaal hai

vo khushi se itni nihaal thi ki ali main soch kar dar gaya
main use bata hi nahin saka ki ye meri aakhiri call hai 
-----------------------------------------------------
वो ही कर्तबा तेरी याद का, वो ही नै नवा ए खयाल है
वो ही मैं जो था तेरे हिज्र में, वो ही मशहद ए खद्दो खाल है

तेरी नींद किसके लिए उड़ी, मेरा ख्वाब किसने बुझा दिया
इसे सुन कर रूख़ नहीं फेरना, तेरे मातमी का सवाल है

ये मजाक़ तो नहीं हो रहा, मैं खुशी से तो नहीं रो रहा
कोई फिल्म तो नहीं चल रही, मेरी जान ये मेरा हाल है

किसी सैय्यदा के चरण पडूं, कोई काज़मी जो दुआ करे
कोई हो जो ग़म की हया करे, मेरा कर्बलाई मलाल है

वो चराग़ ए शहर ए विफाक़ है, मेरे साथ जिसका फिराक़ है
भले दूर पार से ही सही, मेरा राब़्ता तो बहाल है

वो खुशी से इतनी निहाल थी कि "अली" मैं सोच कर डर गया
मैं उसे बता ही नहीं सका कि ये मेरी आखिरी कॉल है
Read more

19. bujhi aankhon mein kirnen bhar rahi ho kaun ho tum..

bujhi aankhon mein kirnen bhar rahi ho kaun ho tum
meri neendon ko roshan kar rahi ho kaun ho tum

mujh aise ghar mein to shaitaan bhi aata nahin hai
tum itne din mere andar rahi ho kaun ho tum

main jiski yaad mein roya hua hoon vo kahaan hai
mera tawaan tum kyun bhar rahi ho kaun ho tum

bhare majme se kamre tak tumheen laai ho mujhko
ab is tanhaai se khud dar rahi ho kaun ho tum 
---------------------------------------------------
बुझी आंखों में किरणें भर रही हो, कौन हो तुम?
मेरी नींदों को रोशन कर रही हो, कौन हो तुम?

मुझ ऐसे घर में तो शैतान भी आता नहीं है,
तुम इतने दिन मेरे अंदर रही हो, कौन हो तुम?

मैं जिसकी याद में 'रोया' हुआ हूँ वो कहाँ है?
मेरा तावान तुम क्यों भर रही हो, कौन हो तुम?

भरे मजमे से कमरे तक तुम्हीं लाई हो मुझको,
अब इस तन्हाई से खुद डर रही हो, कौन हो तुम?
Read more

20. zane haseen thi aur phool chun kar laati thi..

zane haseen thi aur phool chun kar laati thi
main sher kehta tha vo dastaan sunaati thi

arab lahu tha ragon mein badan sunhara tha
vo muskuraati nahin thi die jalaati thi

ali se door raho log usse kahte the
vo mera sach hai bahut cheekh kar bataati thi

ali ye log tumhein jaante nahin hain abhi
gale lagaakar mera hausla badhaati thi

ye phool dekh rahe ho ye uska lahja tha
ye jheel dekh rahe ho yahan vo aati thi

main uske baad kabhi theek se nahin jaaga
vo mujhko khwaab nahin neend se jagati thi

use kisi se mohabbat thi aur vo main nahin tha
ye baat mujhse ziyaada use roolaati thi

main kuchh bata nahin saka vo meri kya thi ali
ki usko dekhkar bas apni yaad aati thi 
------------------------------------------
ज़ने हसीन थी और फूल चुन कर लाती थी
मैं शेर कहता था, वो दास्ताँ सुनाती थी

अरब लहू था रगों में, बदन सुनहरा था
वो मुस्कुराती नहीं थी, दीए जलाती थी

"अली से दूर रहो", लोग उससे कहते थे
"वो मेरा सच है", बहुत चीख कर बताती थी

"अली ये लोग तुम्हें जानते नहीं हैं अभी"
गले लगाकर मेरा हौसला बढ़ाती थी

ये फूल देख रहे हो, ये उसका लहजा था
ये झील देख रहे हो, यहाँ वो आती थी

मैं उसके बाद कभी ठीक से नहीं जागा
वो मुझको ख्वाब नहीं नींद से जगाती थी

उसे किसी से मोहब्बत थी और वो मैं नहीं था
ये बात मुझसे ज़्यादा उसे रूलाती थी

मैं कुछ बता नहीं सकता वो मेरी क्या थी "अली"
कि उसको देखकर बस अपनी याद आती थी
Read more

21. haalat ae hijr mein hoon yaar meri samt na dekh..

haalat ae hijr mein hoon yaar meri samt na dekh
tu na ho jaaye girftaar meri samt na dekh

aasteen mein jo chhupe saanp hain unko to nikaal
apne nuksaan par har baar meri samt na dekh

tujhko jis baat ka khadsha hai vo ho sakti hai
aise nashshe mein lagaataar meri samt na dekh

ya koi baat suna ya mujhe seene se laga
is tarah baithkar bekar meri samt na dekh

tera yaaron se nahin jeb se yaaraana hai
ai mohabbat ke dukandaar meri samt na dekh
-----------------------------------------------
हालत ए हिज्र में हूँ यार मेरी सम्त न देख
तू न हो जाए गिरफ्तार, मेरी सम्त न देख

आस्तीन में जो छूपे सांप हैं उनको तो निकाल
अपने नुकसान पर हर बार मेरी सम्त न देख

तुझको जिस बात का 'ख़द्शा' है वो हो सकती है
ऐसे नश्शे में लगातार मेरी सम्त न देख

या कोई बात सुना या मुझे सीने से लगा
इस तरह बैठकर बेकार मेरी सम्त न देख

तेरा यारों से नहीं जेब से याराना है
ऐ मोहब्बत के दुकाँदार मेरी सम्त न देख
Read more

22. shaahsaazi mein riayaat bhi nahin karte ho..

shaahsaazi mein riayaat bhi nahin karte ho
saamne aakar hukoomat bhi nahin karke ho

wall par chikhte rahte ho ki mazloom hain ham
aur system se bagaavat bhi nahin karte ho

tumse kya baat karoon kaun kahaan qatl hua
tum to is zulm par hairat bhi nahin karte ho

ab mere haal par kyun tumko pareshaani hai
ab to tum mujhse mohabbat bhi nahin karte ho

pyaar karne ki sanad kaise tumhein jaari karoon
tum abhi theek se nafrat bhi nahin karte ho 
-------------------------------------
शाहसाज़ी में रियायत भी नहीं करते हो
सामने आकर हुकूमत भी नहीं करके हो

वॉल पर चीखते रहते हो कि मज़लूम हैं हम
और सिस्टम से बगावत भी नहीं करते हो

तुमसे क्या बात करूँ कौन कहाँ क़त्ल हुआ
तुम तो इस ज़ु़ल्म पर हैरत भी नहीं करते हो

अब मेरे हाल पर क्यूँ तुमको परेशानी है
अब तो तुम मुझसे मोहब्बत भी नहीं करते हो

प्यार करने की सनद कैसे तुम्हें जारी करूँ
तुम अभी ठीक से नफ़रत भी नहीं करते हो
Read more

23. darne ke liye hai na naseehat ke liye hai..

darne ke liye hai na naseehat ke liye hai
jis umr mein tum ho vo mohabbat ke liye hai

ye dil jo abhi pichhle janaaze nahin bhoola
taiyaar ab ik aur museebat ke liye hai

kya hai jo mujhe hukm nahin maanne aate
deewaana to hota hi bagaavat ke liye hai

paaysis hai agar vo to pareshaan na hona
ye burj bana hi kisi hairat ke liye hai

ye pyaar tujhe isliye shobha nahin deta
tu jhooth hai aur jhooth siyaasat ke liye hai 
--------------------------------------------
डरने के लिए है न नसीहत के लिए है
जिस उम्र में तुम हो वो मोहब्बत के लिए है

ये दिल जो अभी पिछले जनाज़े नहीं भूला
तैयार अब इक और मुसीबत के लिए है

क्या है जो मुझे हुक्म नहीं मानने आते
दीवाना तो होता ही बगावत के लिए है

पाइसिस है अगर वो तो परेशान न होना
ये बुर्ज बना ही किसी हैरत के लिए है

ये प्यार तुझे इसलिए शोभा नहीं देता
तू झूठ है और झूठ सियासत के लिए है
Read more

24. saaz taiyaar kar raha hoon main..

saaz taiyaar kar raha hoon main
aur khabardaar kar raha hoon main

tumko shaayad bura lage lekin
dekh ke pyaar kar raha hoon main

haan nahin chahiye ye taaj aur takht
saaf inkaar kar raha hoon main

koi jaakar use bata to de
jiska kirdaar kar raha hoon main

aaj se khud ko teri haalat se
dastbardaar kar raha hoon main

do jahaan mujhko mil rahe hain magar
tujh par israar kar raha hoon main 
------------------------
साज़ तैयार कर रहा हूँ मैं
और खबरदार कर रहा हूँ मैं

तुमको शायद बुरा लगे, लेकिन
देख के प्यार कर रहा हूँ मैं

हाँ! नहीं चाहिए ये ताज और तख़्त
साफ़ इन्कार कर रहा हूँ मैं

कोई जाकर उसे बता तो दे
जिसका किरदार कर रहा हूँ मैं

आज से, खुद को तेरी हालत से
दस्तबरदार कर रहा हूँ मैं

दो जहाँ मुझको मिल रहे हैं, मगर
तुझ पर इसरार कर रहा हूँ मैं
Read more

25. jaagna aur jaga ke so jaana..

jaagna aur jaga ke so jaana
raat ko din bana ke so jaana

text karna tamaam raat usko
ungliyon ko daba ke so jaana

aaj phir der se ghar aaya hoon
aaj phir munh bana ke so jaana 
----------------------------
जागना और जगा के सो जाना
रात को दिन बना के सो जाना

टैक्स्ट करना तमाम रात उसको
उंगलियों को दबा के सो जाना

आज फिर देर से घर आया हूं
आज फिर मुंह बना के सो जाना
Read more

26. khayal mein bhi use berida nahin kiya hai..

khayal mein bhi use berida nahin kiya hai
ye julm mujhse nahin ho saka nahin kiya hai

main ek shakhs ko eimaan jaanta hoon to kya
khuda ke naam pe logon ne kya nahin kiya hai

isiliye to main roya nahin bichhadte samay
tujhe ravana kiya hai juda nahin kiya hai

yah badtameez agar tujh se dar rahe hain to phir
tujhe bigaad ke maine bura nahin kiya hai 
-------------------------------------------
खयाल में भी उसे बेरिदा नहीं किया है
ये जुल्म मुझसे नहीं हो सका, नहीं किया है

मैं एक शख्स को ईमान जानता हूं तो क्या
खुदा के नाम पे लोगों ने क्या नहीं किया है

इसीलिए तो मैं रोया नहीं बिछड़ते समय
तुझे रवाना किया है जुदा नहीं किया है

यह बदतमीज अगर तुझ से डर रहे हैं तो फिर
तुझे बिगाड़ के मैंने बुरा नहीं किया है
Read more

27. sab kar lena lamhe jaaya mat karna..

sab kar lena lamhe jaaya mat karna
galat jagah par jazbe jaaya mat karna

ishq to niyat ki sacchaai dekhta hai
dil na dukhe to sajde jaaya mat karna

saada hoon aur brands pasand nahin mujh ko
mujh par apne paise jaaya mat karna

rozi-roti desh mein bhi mil sakti hai
door bhej ke rishte jaaya mat karna 
-----------------------------------
सब कर लेना लम्हें जाया मत करना
गलत जगह पर जज्बे जाया मत करना

इश्क़ तो नियत की सच्चाई देखता है
दिल ना दुखे तो सजदे जाया मत करना

सादा हूं और ब्रैंड्स पसंद नहीं मुझ को
मुझ पर अपने पैसे जाया मत करना

रोजी-रोटी देश में भी मिल सकती है
दूर भेज के रिश्ते जाया मत करना
Read more

28. are kya seekh sakogen bhala hijrat se hamaari..

are kya seekh sakogen bhala hijrat se hamaari
tum log maza lete ho haalat se hamaari

ham kaun hain ye baat tumhein likh ke bataayein
andaaza nahin hota shabaahat se hamaari

besudh nahin raayega ho jaana hamaara
kuchh phool khile hain to mushkatat se hamaari 
-----------------------------------------------
अरे क्या सीख सकोगें भला हिजरत से हमारी
तुम लोग मजा लेते हो हालत से हमारी

हम कौन हैं ये बात तुम्हें लिख के बताएं
अंदाजा नहीं होता शबाहत से हमारी

बेसुध नहीं राएगा हो जाना हमारा
कुछ फूल खिले हैं तो मुशक्तत से हमारी
Read more

29. is tarah se na aajmao mujhe..

is tarah se na aajmao mujhe
uski tasveer mat dikhaao mujhe

ain mumkin hai main palat aaun
uski aawaaz mein bulao mujhe

maine bola tha yaad mat aana
jhooth bola tha yaad aao mujhe
-------------------------------
इस तरह से ना आजमाओ मुझे
उसकी तस्वीर मत दिखाओ मुझे

ऐन मुमकिन है मैं पलट आऊं
उसकी आवाज में बुलाओ मुझे

मैंने बोला था याद मत आना
झूठ बोला था, याद आओ मुझे
Read more

30. pyaar mein jism ko yaksar na mita jaane de..

pyaar mein jism ko yaksar na mita jaane de
qurbat-e-lams ko gaali na bana jaane de

tu jo har roz naye husn pe mar jaata hai
tu bataaega mujhe ishq hai kya jaane de

chaai peete hain kahi baith ke dono bhaai
ja chuki hai na to bas chhod chal aa jaane de 
----------------------------------------
प्यार में जिस्म को यकसर न मिटा जाने दे
कुर्बत-ए-लम्स को गाली ना बना जाने दे

तू जो हर रोज़ नए हुस्न पे मर जाता है
तू बताएगा मुझे 'इश्क़ है क्या'? जाने दे

चाय पीते हैं कहीं बैठ के दोनों भाई
जा चुकी है ना तो बस छोड़ चल आ जाने दे
Read more

31. toor-e-seena hai sar karoge miyaan..

toor-e-seena hai sar karoge miyaan
apne andar safar karoge miyaan

tum hamein roz yaad karte ho
phir to tum umr bhar karoge miyaan

vo jo ik lafz mar gaya hai
usko kiski khabar karoge miyaan

aur dil-e-darvesh ek madeena hai
tum madine mein sair karoge miyaan 
--------------------------------
तूर-ए-सीना है सर करोगे मियां
अपने अंदर सफर करोगे मियां

तुम हमें रोज याद करते हो
फिर तो तुम उम्र भर करोगे मियां

वो जो इक लफ्ज़ मर गया है
उसको किसकी खबर करोगे मियां

और दिल-ए-दरवेश एक मदीना है
तुम मदीने में सैर करोगे मियां
Read more

32. aaj bhi tingi ki qismat mein..

aaj bhi tingi ki qismat mein
sam-e-qaatil hai salsabeel nahin

sab khuda ke wakeel hain lekin
aadmi ka koi wakeel nahin

hai kushaada azal se roo-e-zameen
haram-o dair be-faseel nahin

zindagi apne rog se hai tabaah
aur darmaan ki kuchh sabeel nahin

tum bahut jaazib-o-jameel sahi
zindagi jaazib-o-jameel nahin

na karo bahs haar jaayogi
husn itni badi daleel nahin 
---------------------------------
आज भी तिनगी की क़िस्मत में
सम-ए-क़ातिल है सलसबील नहीं

सब ख़ुदा के वकील हैं लेकिन
आदमी का कोई वकील नहीं

है कुशादा अज़ल से रू-ए-ज़मीं
हरम-ओ- दैर बे-फ़सील नहीं

जिंदगी अपने रोग से है तबाह
और दरमाँ की कुछ सबील नहीं

तुम बहुत जाज़िब-ओ-जमील सही
ज़िंदगी जाज़िब-ओ-जमील नहीं

न करो बहस हार जाओगी
हुस्न इतनी बड़ी दलील नहीं
Read more

33. nazar andaaz hai ghaayal pade hai..

nazar andaaz hai ghaayal pade hai
kai dariya kai jungle pade hai

nazar uthi hai uski meri jaanib
kai peshaaniyon par bal pade hai

main uska khat baha ke aaraha hu
mere baazu abhi tak shal pade hai

use kehna ke kal terrace par aaye
use kehna ke baadal chal pade hai 
-----------------------------------
नज़र अंदाज है घायल पड़े है
कई दरिया कई जंगल पड़े है

नजर उठी है उसकी मेरी जानिब
कई पेशानियों पर बल पड़े है

मैं उसका ख़त बहा के आरहा हु
मेरे बाजू अभी तक शल पड़े है

उसे कहना के कल टेरिस पर आये
उसे कहना के बादल चल पड़े है
Read more

34. ho jise yaar se tasdeeq nahin kar saka..

ho jise yaar se tasdeeq nahin kar saka
vo kisi sher ki tazheek nahin kar saka

pur-kashish dost mere hijr ki majboori samajh
main tujhe door se nazdeek nahin kar saka

mujh pe tanqeed se rahte hain ujaale jinmein
un dukano ko main tareek nahin kar saka

kaun se gham se nikalna hai kise rakhna hai
mas’ala ye hai main tafreek nahin kar saka

ped ko gaaliyaan bakne ke ilaava zaryoon
kya karein vo ke jo takhleeq nahin kar saka

sher to khair main tanhaai mein kah looga ali
apni haalat to main khud theek nahin kar saka

hijr se gujre bina ishq bataane waala
bahs kar saka hai tehqeeq nahin kar saka 
----------------------------------------
हो जिसे यार से तस्दीक़ नहीं कर सकता
वो किसी शेर की तज़हीक नहीं कर सकता

पुर-कशिश दोस्त मेरे हिज्र की मजबूरी समझ
मैं तुझे दूर से नज़दीक नहीं कर सकता

मुझ पे तनकीद से रहते हैं उजाले जिनमें
उन दुकानों को मैं तारीक नहीं कर सकता

कौन से ग़म से निकलना है किसे रखना है
मस‌अला ये है मैं तफरीक नहीं कर सकता

पेड़ को गालियां बकने के इलावा ज़रयून
क्या करें वो के जो तख़लीक़ नहीं कर सकता

शेर तो खैर मैं तन्हाई में कह लूगा अली
अपनी हालत तो मैं खुद ठीक नहीं कर सकता

हिज्र से गुजरे बिना इश्क बताने वाला
बहस कर सकता है तहकीक नहीं कर सकता

Read more

35. aasaan to ye kaar-e-wafa hota nahin hai..

aasaan to ye kaar-e-wafa hota nahin hai
kehne ko to kahte hain kiya hota nahin hai

awwal to main naraaz nahin hota hoon lekin
ho jaaun to phir mujh sa bura hota nahin hai

gusse mein to vo maa ki tarha hota hai bilkul
lagta hai khafa sach mein khafa hota nahin hai

tum mere liye jang karoge are chhodo
tumse to miyaan milne bhi aa hota nahin hai

ham apni mohabbat mein samajh le to samajh le
vaise kisi bande mein khuda hota nahin hai

kahte hain khuda vo hai ki jo kah de to sab ho
vaise mere kehne se bhi kya hota nahin hai

eimaan hai ya chaand ko laana hai zameen par
kahte ho ki le aata hoon la hota nahin hai

mujh par jo ali khaas karam hai to mere dost
har dil bhi to mujh jaisa siya hota nahin hai 
----------------------------------------
आसान तो ये कार-ए-वफ़ा होता नहीं है
कहने को तो कहते हैं किया होता नहीं है

अव्वल तो मैं नाराज नहीं होता हूं लेकिन
हो जाऊं तो फिर मुझ सा बुरा होता नहीं है

गुस्से में तो वो मां की तरहा होता है बिल्कुल
लगता है खफा सच में खफा होता नहीं है

तुम मेरे लिए जंग करोगे अरे छोड़ो
तुमसे तो मियां मिलने भी आ होता नहीं है

हम अपनी मोहब्बत में समझ ले तो समझ ले
वैसे किसी बंदे में खुदा होता नहीं है

कहते हैं खुदा वो है की जो कह दे तो सब हो
वैसे मेरे कहने से भी क्या होता नहीं है

ईमान है या चांद को लाना है ज़मीं पर
कहते हो कि ले आता हूं ला होता नहीं है

मुझ पर जो अली खास करम है तो मेरे दोस्त
हर दिल भी तो मुझ जैसा सिया होता नहीं है
Read more

36. lehje mein khanak baat mein dam hai to karam hai..

lehje mein khanak baat mein dam hai to karam hai
gardan dar-e-haider pe jo kham hai to karam hai

mat soch ki is ghar pe karam hai to alam hai
darasl tere ghar pe alam hai to karam hai

bistar pe kamar theek nahin lagti to khush ho
khuraak bhi ai yaar jo kam hai to karam hai

be-nisbat-o-be-ishq kahaan milti hai izzat
mujh pe mere maula ka karam hai to karam hai

munkir ki jalan hi mein to mumin ka maza hai
gar taana-o-tashnee-o-sitam hai to karam hai

ab jab ke koi haal bhi kyun pooche kisi ka
ik aankh mere vaaste nam hai to karam hai

ab jab ke koi aankh nahin rukti kisi par
jo koi jahaan jiska sanam hai to karam hai

midhat ka maza bhi ho taghazzul ki ada bhi
kuchh aisa sukhun tujhko bahm hai to karam hai

akhtar se ghazal-sazon ke hote hue zaryoon
thoda sa agar tera bharam hai to karam hai
-----------------------------------------------
लहजे में खनक बात में दम है तो करम है
गर्दन दर-ए-हैदर पे जो ख़म है तो करम है

मत सोच कि इस घर पे करम है तो अलम है
दरअस्ल तेरे घर पे अलम है तो करम है

बिस्तर पे कमर ठीक नहीं लगती तो ख़ुश हो
ख़ुराक भी ऐ यार जो कम है तो करम है

बे-निस्बत-ओ-बे-इश्क कहाँ मिलती है इज़्ज़त
मुझ पे मेरे मौला का करम है तो करम है

मुंकिर की जलन ही में तो मोमिन का मज़ा है
गर ताना-ओ-तश्नी-ओ-सितम है तो करम है

अब जब के कोई हाल भी क्यूँ पूछे किसी का
इक आँख मेरे वास्ते नम है तो करम है

अब जब के कोई आँख नहीं रुकती किसी पर
जो कोई जहाँ जिसका सनम है तो करम है

मिदहत का मज़ा भी हो तग़ज़्ज़ुल की अदा भी
कुछ ऐसा सुख़न तुझको बहम है तो करम है

अख़्तर से ग़ज़ल-साज़ों के होते हुए 'ज़रयून'
थोड़ा सा अगर तेरा भरम है तो करम है
Read more

37. us mohalle ke sab gharo ki khair..

us mohalle ke sab gharo ki khair
aur gharo mein jale diyon ki khair

maa main qurbaan tere gusse par
baba jaani ki jhidkiyon ki khair

tere ham-khwaab doston ke nisaar
teri ham-naam ladkiyon ki khair

jo tere khaddo khaal par honge
tere betau ki betiyon ki khair

jinka sardaar o peshwa mein hoon
tere haatho pooche huoon ki khair

tooti-footi likhaai ke sadke
pehli pehli mohabbaton ki khair

dushmanon ke liye dua yaani
teri jaanib ke doston ki khair

facebook se jo door baithe hain
un fakeeron ki baithkon ki khair

car mein baagh khil gaya jaise
gulbadan teri khushbuon ki khair

vo jo seenon pe das ke hansati hai
un havasnaak naginon ki khair 
----------------------------------
उस मोहल्ले के सब घरों की खैर
और घरों में जले दियों की खैर

मां मैं कुर्बान तेरे गुस्से पर
बाबा जानी की झिड़कियों की खैर

तेरे हम-ख्वाब दोस्तों के निसार
तेरी हम-नाम लड़कियों की खैर

जो तेरे खद्दो खाल पर होंगे
तेरे बेटौ की बेटियों की खैर

जिनका सरदार ओ पेशवा में हूं
तेरे हाथो पूछे हुओं की खैर

टूटी-फूटी लिखाई के सदके
पहली पहली मोहब्बतों की खैर

दुश्मनों के लिए दुआ यानी
तेरी जानिब के दोस्तों की खैर

फेसबुक से जो दूर बैठे हैं
उन फकीरों की बैठकों की खैर

कार में बाग़ खिल गया जैसे
गुलबदन तेरी खुशबुओं की खैर

वो जो सीनों पे डस के हंसती है
उन हवसनाक नागिनों की खैर
Read more

38. chhukar dar-e-shifa ko shifa ho gaya hoon main..

chhukar dar-e-shifa ko shifa ho gaya hoon main
is arsa-e-waba mein dua ho gaya hoon main

ik be-nisha ke ghar ka pata ho gaya hoon main
har la dava ke gham ki dava ho gaya hoon main

main tha jo apni aap rukaavat tha sahiba
achha hua ki khud se juda ho gaya hoon main

tune udhar judaai ka socha hi tha idhar
baithe-bithaye tujh se rihaa ho gaya hoon main

tumko khabar nahin hai ki kya ban gaye ho tum
mujh ko to sab pata hai ki kya ho gaya hoon main

main hoon to log kyun mujhe kahte hain ki vo ho tum
gar tum nahin to kis mein fana ho gaya hoon main 
-------------------------------------------------
छूकर दर-ए-शिफा को शिफा हो गया हूं मैं
इस अरसा-ए-वबा में दुआ हो गया हूं मैं

इक बे-निशा के घर का पता हो गया हूं मैं
हर ला दवा के ग़म की दवा हो गया हूं मैं

मैं था जो अपनी आप रुकावट था साहिबा
अच्छा हुआ कि ख़ुद से जुदा हो गया हूं मैं

तूने उधर जुदाई का सोचा ही था इधर
बैठे-बिठाए तुझ से रिहा हो गया हूं मैं

तुमको खबर नहीं है कि क्या बन गए हो तुम
मुझ को तो सब पता है कि क्या हो गया हूं मैं

मैं हूं तो लोग क्यूं मुझे कहते हैं कि वो हो तुम
गर तुम नहीं तो किस में फना हो गया हूं मैं
Read more

39. nazarandaaz ho jaane ka zahar apni nason mein bhar raha hai kaun jaane..

nazarandaaz ho jaane ka zahar apni nason mein bhar raha hai kaun jaane
bahot sar-sabz ghazalon nazmon waala apne andar mar raha hai kaun jaane

akela shakhs ko apne kareebi mausamon mein kis tarah ke zakhm aaye
vo aakhir kislie maan-baap ki kabron pe jaate dar raha hai kaun jaane

ye jiske fez se apne paraaye jholiyaan bharte hue thakte nahin hai
ye chashma tere aane se bahot pehle talak patthar raha hai kaun jaane

jo pichhle tees barso se mohabbat shayari aur yaad se roothe hue the
tera shayar vo hi bacche vo hi boodhe ikatthe kar raha hai kaun jaane 
----------------------------------------------------------------
नजरअंदाज हो जाने का ज़हर अपनी नसों में भर रहा है कौन जाने
बहोत सर-सब्ज़ ग़ज़लों नज़्मों वाला अपने अंदर मर रहा है कौन जाने

अकेले शख़्स को अपने करीबी मौसमों में किस तरह के ज़ख्म आए
वो आख़िर किसलिए मां-बाप की कब्रों पे जाते डर रहा है कौन जाने

ये जिसके फे़ज़ से अपने पराएं झोलियां भरते हुए थकते नहीं है
ये चश्मा तेरे आने से बहोत पहले तलक पत्थर रहा है कौन जाने

जो पिछले तीस बरसो से मोहब्बत, शायरी और याद से रूठे हुए थे
तेरा शायर वो ही बच्चे वो ही बूढ़े इकट्ठे कर रहा है कौन जाने
Read more

40. tanj karna hai mujh par ajee kijie..

tanj karna hai mujh par ajee kijie
kar rahe hain sabhi aap bhi kijie

baat bhi kijie dekh bhi leejie
dekh bhi leejie baat bhi kijie

aap kyun kar rahe hain mere vaaste
aap apne liye shayari kijie

khandaani munaafiq hai aap isliye
doston ki jade khokhli kijie

aap is ke siva kar bhi sakte hain kya
yaani jo kar rahe hain wahi kijie

main kahaan rokta hoon sitam se bhala
kijie kijie jaan jee kijie

aa gaye aap ke aastaane par ham
ab buri kijie ya bhali kijie

leejie chhodta hoon main kaar-e-sukhan
meri jaanib se bhi aap hi kijie

vo ali ho mohabbat ho ya ishq ho
in se miliye yahaan zindagi kijie

kya hasad bhi koi kaam karne ka hai
aashiqi kijie dilbari kijie 
-----------------------------------
तंज करना है मुझ पर अजी कीजिए
कर रहे हैं सभी आप भी कीजिए

बात भी कीजिए देख भी लीजिए
देख भी लीजिए बात भी कीजिए

आप क्यूं कर रहे हैं मेरे वास्ते
आप अपने लिए शायरी कीजिए

खानदानी मुनाफ़िक़ है आप इसलिए
दोस्तों की जड़े खोखली कीजिए

आप इस के सिवा कर भी सकते हैं क्या
यानी जो कर रहे हैं वही कीजिए

मैं कहां रोकता हूं सितम से भला
कीजिए कीजिए जान जी कीजिए

आ गए आप के आस्ताने पर हम
अब बुरी कीजिए या भली कीजिए

लीजिए छोड़ता हूं मैं कार-ए-सुखन
मेरी जानिब से भी आप ही कीजिए

वो अली हो मोहब्बत हो या इश्क हो
इन से मिलिए यहां जिंदगी कीजिए

क्या हसद भी कोई काम करने का है
आशिक़ी कीजिए दिलबरी कीजिए
Read more

41. charaagahein nai aabaad hogi..

charaagahein nai aabaad hogi
magar jo bastiyaan barbaad hogi

khuda mitti ko phir se hukm dega
kai shaklein nai ijaad hogi

abhi mumkin nahin lekin ye hoga
kitaaben sahib-e-aulaad hogi

main un aankhon ko padhkar sochta hoon
ye nazmein kis tarah se yaad hogi

ye pariyaan phir nahin aayegi milne
ye ghazlein phir nahin irshaad hogi

main darta hoon ali un aadaton se
ke jo mujhko tumhaare baad hogi 
--------------------------------
चरागाहें न‌ई आबाद होगी
मगर जो बस्तियां बर्बाद होगी

खुदा मिट्टी को फिर से हुक्म देगा
कई शक्लें न‌ई ईजाद होगी

अभी मुमकिन नहीं लेकिन ये होगा
किताबें साहिब-ए-औलाद होगी

मैं उन आंखों को पढ़कर सोचता हूं
ये नज्में किस तरह से याद होगी

ये परियां फिर नहीं आएगी मिलने
ये ग़ज़लें फिर नहीं इरशाद होगी

मैं डरता हूं अली उन आदतों से
के जो मुझको तुम्हारे बाद होगी
Read more

42. chupchaap kyun firo ho koi baat to karo..

chupchaap kyun firo ho koi baat to karo
hal bhi nikaalte hain mulaqaat to karo

khaali hawa mein udna fakeeri nahin miyaan
dil jod ke dikhaao karaamaat to karo

kheton ko kha gai hai ye shehrili bastiyaan
sahab ilaaj-e-ranj-e-muzaafat to karo 
---------------------------------------
चुपचाप क्यों फिरो हो कोई बात तो करो
हल भी निकालते हैं मुलाकात तो करो

ख़ाली हवा में उड़ना फकीरी नहीं मियां
दिल जोड़ के दिखाओ करामात तो करो

खेतों को खा गई है ये शहरिली बस्तियां
साहब इलाज-ए-रंज-ए-मुज़ाफ़ात तो करो
Read more

43. All time most famous ghazals of aAli zaryoun..

1- Ada-e-ishq hoon poori ana ke saath hoon main
Khud apne saath hoon yaani khuda ke saath hoon main

Mujawaraan-e-hawas tang hain ke yun kaise
Bagair sharm-o-haya bhi haya ke saath hoon main

Safar shuru' to hone de apne saath mera
Tu khud kahega ye kaisi bala ke saath hoon main

Main choo gaya to tera rang kaat daalunga
So apne aap se tujh ko bacha ke saath hoon main

Durood-bar-dil-e-wahshi salaam-bar-tap-e-ishq
Khud apni hamd khud apni sana ke saath hoon main

Yahi to farq hai mere aur un ke hal ke beech
Shikayatein hain unhein aur raza ke saath hoon main

Main awwaleen ki izzat mein aakhrin ka noor
Woh intiha hoon ke har ibtida ke saath hoon main

Dikhai doon bhi to kaise sunai doon bhi to kyun
Wara-e-naqsh-o-nawa hoon fana ke saath hoon main

Ba-hukm-e-yaar lewen qabz karne aati hai
Bujha rahi hai? Bujhaye hawa ke saath hoon main

Ye saabireen-e-mohabbat ye kaashifeen-e-junoon
Inhi ke sang inhi auliya ke saath hoon main

Kisi ke saath nahi hoon magar jamaal-e-ilaha
Tiri qism tire har mubtala ke saath hoon main

Zamane bhar ko pata hai main kis tareeq pe hoon
Sabhi ko ilm hai kis dil-ruba ke saath hoon main

Munafiqeen-e-tasawwuf ki maut hoon main 'Ali'
Har ek aseel har ek be-riya ke saath hoon main


2- Khwab ka khwab haqeeqat ki haqeeqat samjhein
Ye samajhna hai to phir pehle tareeqat samjhein

Main jawaban bhi jinhein gaali nahi deta woh log
Meri jaanib se ise khaas mohabbat samjhein

Main to mar kar bhi na bechunga kabhi yaar ka naam
Aap taajir hain numaish ko ibaadat samjhein

Main kisi beech ke raste se nahi pahucha yahan
Hasidon se ye guzaarish hai riyaazat samjhein

Mera be-saakhta-pan un ke liye khatra hai
Saakhta log mujhe kyun na museebat samjhein

Facebook waqt agar de to ye pyaare bachche
Apne khaamosh buzurgon ki shikayat samjhein

Pesh karta hoon main khud apni giraftari 'Ali'
Un se kehna ke mujhe zer-e-hiraasat samjhein


3- Tere aage sar-kashi dikhlaunga?
Tu to jo keh de wahi ban jaunga

Ai zaboori phool ai neele gulaab
Mat khafa ho main dobara aaunga

Saat sadiyan saat raatein saat din
Ek paheli hai kise samjhaunga

Yaar ho jaaye sahi tujh se mujhe
Tere qabze se tujhe chhudvaunga

Tum bahut maasoom ladki ho tumhein
Nazm bhejunga dua pahnwaunga

Koi dariya hai na jungle aur na baagh
Main yahan bilkul nahi reh paunga

Yaad karvaunga tujhe tere zakhm
Teri saari ne'matein ginvaunga

Chhodna us ke liye mushkil na ho
Mujh se mat kehna main ye kar jaunga

Main 'Ali'-Zaryoon hoon kaafi hai ye
Main Zafar-Iqbal kyun ban jaunga


4- Janaab-e-Shaikh ki harza-sarai jaari hai
Udhar se zulm idhar se duhayi jaari hai

Bichhad gaya hoon magar yaad karta rehta hoon
Kitaab chhod chuka hoon padhai jaari hai

Tire alawa kahin aur bhi mulavvis hoon
Tiri wafa se meri bewafai jaari hai

Woh kyun kahenge ke dono mein amn ho jaaye
Hamari jung se jin ki kamai jaari hai

Ajeeb khabt-e-Maseehai hai ke hairat hai
Mareez mar bhi chuka hai dawaai jaari hai


5- Sukoot-e-shaam ka hissa tu mat bana mujh ko
Main rang hoon so kisi mauj mein mila mujh ko

Main in dino tiri aankhon ke ikhtiyaar mein hoon
Jamaal-e-sabz kisi tajrabe mein la mujh ko

Main boodhe jism ki zillat utha nahi sakta
Kisi qadeem tajalli se kar naya mujh ko

Main apne hone ki takmeel chahta hoon sakhi
So ab badan ki hiraasat se kar riha mujh ko

Mujhe chiraagh ki hairat bhi ho chuki ma'loom
Ab is se aage koi rasta bata mujh ko

Us ism-e-khaas ki tarkeeb se bana hoon main
Mohabbat ke talaffuz se kar naya mujh ko

Daroon-e-seena jise dil samajh raha tha 'Ali'
Woh neeli aag hai ye ab pata chala mujh ko
----------------------------------------
1- अदा-ए-इश्क़ हूँ पूरी अना के साथ हूँ मैं
ख़ुद अपने साथ हूँ या'नी ख़ुदा के साथ हूँ मैं

मुजावरान-ए-हवस तंग हैं कि यूँ कैसे
बग़ैर शर्म-ओ-हया भी हया के साथ हूँ मैं

सफ़र शुरूअ' तो होने दे अपने साथ मिरा
तू ख़ुद कहेगा ये कैसी बला के साथ हूँ मैं

मैं छू गया तो तिरा रंग काट डालूँगा
सो अपने आप से तुझ को बचा के साथ हूँ मैं

दुरूद-बर-दिल-ए-वहशी सलाम-बर-तप-ए-इश्क़
ख़ुद अपनी हम्द ख़ुद अपनी सना के साथ हूँ मैं

यही तो फ़र्क़ है मेरे और उन के हल के बीच
शिकायतें हैं उन्हें और रज़ा के साथ हूँ मैं

मैं अव्वलीन की इज़्ज़त में आख़िरीन का नूर
वो इंतिहा हूँ कि हर इब्तिदा के साथ हूँ मैं

दिखाई दूँ भी तो कैसे सुनाई दूँ भी तो क्यूँ
वरा-ए-नक़्श-ओ-नवा हूँ फ़ना के साथ हूँ मैं

ब-हुक्म-ए-यार लवें क़ब्ज़ करने आती है
बुझा रही है? बुझाए हवा के साथ हूँ मैं

ये साबिरीन-ए-मोहब्बत ये काशिफ़ीन-ए-जुनूँ
इन्ही के संग इन्हीं औलिया के साथ हूँ मैं

किसी के साथ नहीं हूँ मगर जमाल-ए-इलाहा
तिरी क़िस्म तिरे हर मुब्तला के साथ हूँ मैं

ज़माने भर को पता है मैं किस तरीक़ पे हूँ
सभी को इल्म है किस दिल-रुबा के साथ हूँ मैं

मुनाफ़िक़ीन-ए-तसव्वुफ़ की मौत हूँ मैं 'अली'
हर इक असील हर इक बे-रिया के साथ हूँ मैं


2- ख़्वाब का ख़्वाब हक़ीक़त की हक़ीक़त समझें
ये समझना है तो फिर पहले तरीक़त समझें

मैं जवाबन भी जिन्हें गाली नहीं देता वो लोग
मेरी जानिब से इसे ख़ास मोहब्बत समझें

मैं तो मर कर भी न बेचूँगा कभी यार का नाम
आप ताजिर हैं नुमाइश को इबादत समझें

मैं किसी बीच के रस्ते से नहीं पहुँचा यहाँ
हासिदों से ये गुज़ारिश है रियाज़त समझें

मेरा बे-साख़्ता-पन उन के लिए ख़तरा है
साख़्ता लोग मुझे क्यूँ न मुसीबत समझें

फेसबुक वक़्त अगर दे तो ये प्यारे बच्चे
अपने ख़ामोश बुज़ुर्गों की शिकायत समझें

पेश करता हूँ मैं ख़ुद अपनी गिरफ़्तारी 'अली'
उन से कहना कि मुझे ज़ेर-ए-हिरासत समझें 


3- तेरे आगे सर-कशी दिखलाउँगा?
तू तो जो कह दे वही बन जाऊँगा

ऐ ज़बूरी फूल ऐ नीले गुलाब
मत ख़फ़ा हो मैं दोबारा आऊँगा

सात सदियाँ सात रातें सात दिन
इक पहेली है किसे समझाऊँगा

यार हो जाए सही तुझ से मुझे
तेरे क़ब्ज़े से तुझे छुड़वाऊंगा

तुम बहुत मा'सूम लड़की हो तुम्हें
नज़्म भेजूँगा दुआ पहनाऊँगा

कोई दरिया है न जंगल और न बाग़
मैं यहाँ बिल्कुल नहीं रह पाऊँगा

याद करवाउँगा तुझ को तेरे ज़ख़्म
तेरी सारी ने'मतें गिनवाउँगा

छोड़ना उस के लिए मुश्किल न हो
मुझ से मत कहना मैं ये कर जाऊँगा

मैं 'अली'-ज़र्यून हूँ काफ़ी है ये
मैं ज़फ़र-इक़बाल क्यूँ बन जाऊँगा


4- जनाब-ए-शैख़ की हर्ज़ा-सराई जारी है
उधर से ज़ुल्म इधर से दुहाई जारी है

बिछड़ गया हूँ मगर याद करता रहता हूँ
किताब छोड़ चुका हूँ पढ़ाई जारी है

तिरे अलावा कहीं और भी मुलव्विस हूँ
तिरी वफ़ा से मिरी बेवफ़ाई जारी है

वो क्यूँ कहेंगे कि दोनों में अम्न हो जाए
हमारी जंग से जिन की कमाई जारी है

अजीब ख़ब्त-ए-मसीहाई है कि हैरत है
मरीज़ मर भी चुका है दवाई जारी है


5- सुकूत-ए-शाम का हिस्सा तू मत बना मुझ को
मैं रंग हूँ सो किसी मौज में मिला मुझ को

मैं इन दिनों तिरी आँखों के इख़्तियार में हूँ
जमाल-ए-सब्ज़ किसी तज्रबे में ला मुझ को

मैं बूढे जिस्म की ज़िल्लत उठा नहीं सकता
किसी क़दीम तजल्ली से कर नया मुझ को

मैं अपने होने की तकमील चाहता हूँ सखी
सो अब बदन की हिरासत से कर रिहा मुझ को

मुझे चराग़ की हैरत भी हो चुकी मा'लूम
अब इस से आगे कोई रास्ता बता मुझ को

उस इस्म-ए-ख़ास की तरकीब से बना हूँ मैं
मोहब्बतों के तलफ़्फ़ुज़ से कर नया मुझ को

दरून-ए-सीना जिसे दिल समझ रहा था 'अली'
वो नीली आग है ये अब पता चला मुझ को

Read more

44. dost ke naam khat..

dost ke naam khat
tumne haal poocha hai
haalat-e-mohabbat mein
haal ka bataana kya
dil sisak raha ho to
zakham ka chhupaana kya
tum jo pooch baithe ho
kuchh to ab bataana hai
baat ek bahaana hai
tumne haal poocha hai
ik diya jalata hoon
theek hai bataata hoon
roz uski yaadon mein
door tak chale jaana
jo bhi tha kaha usne
apne saath dohraana
saans jab ruke to phir
apni marti aankhon mein
uski shakl le aana
aur zindagi paana
roz aise hota hai
kuchh purane message hain
jinmein uski baatein hain
kuchh tabeel subhe hain
kuchh qadeem raatein hain
maine uski baaton mein
zindagi guzaari hai
zindagi mitaane ka
hausla nahin mujhmein
ek ek lafz uska
saans mein pirooya hai
rooh mein samoya hai
uske jitne message hai
roz khol leta hoon
usse kah nahin paata
khud se bol leta hoon
uske pej par ja kar
roz dekhta hoon main
aaj kitne logon ne
uski pairavi ki hai
aur sochta hoon main
ye naseeb waale hain
usko dekh sakte hain
usse baat karte hain
ye ijaazaton waale
mujhse kitne behtar hain
main to daagh tha koi
jo mita diya usne
gar mita diya usne
theek hi kiya usne
tumne haal poocha tha
lo bata diya maine
jo bhi kuchh bataaya hai
usko mat bata dena
padh ke ro paro to phir
in tamaam lafzon ko
bas gale laga lena
vo meri mohabbat hai
aur sada rahegi vo
jab nahin rahoonga to
ek din kahegi vo
tum ali faqat tum the
jisne mujhko chaaha tha
jisne mere maathe ko
choom kar bataaya tha
tum dua ka chehra ho
tum haya ka pahra ho
main to tab nahin hoonga
par meri sabhi nazmein
uski baat sun lenge
tum bhi muskuraa dena
phir bahut mohabbat se
usko sab bata dena
uske narm haathon mein
mera khat thama dena
lo ye khat tumhaara hai
aur uski jaanib se
vo jo bas tumhaara tha
aaj bhi tumhaara hai
-----------------------
"दोस्त के नाम ख़त"
तुमने हाल पूछा है
हालत-ए-मोहब्बत में
हाल का बताना क्या!
दिल सिसक रहा हो तो
ज़ख़्म का छुपाना क्या!
तुम जो पूछ बैठे हो
कुछ तो अब बताना है
बात एक बहाना है
तुमने हाल पूछा है
इक दिया जलाता हूँ
ठीक है बताता हूँ
रोज़ उसकी यादों में
दूर तक चले जाना
जो भी था कहा उसने
अपने साथ दोहराना
साँस जब रुके तो फिर
अपनी मरती आँखों में
उसकी शक्ल ले आना
और ज़िन्दगी पाना
रोज़ ऐसे होता है
कुछ पुराने मैसेज हैं
जिनमें उसकी बातें हैं
कुछ तबील सुबहे हैं
कुछ क़दीम रातें हैं
मैंने उसकी बातों में
ज़िन्दगी गुज़ारी है
ज़िन्दगी मिटाने का
हौसला नहीं मुझमें
एक एक लफ़्ज़ उसका
साँस में पिरोया है,
रूह में समोया है
उसके जितने मैसेज है
रोज़ खोल लेता हूँ
उससे कह नहीं पाता
ख़ुद से बोल लेता हूँ
उसके पेज पर जा कर
रोज़ देखता हूँ मैं
आज कितने लोगों ने
उसकी पैरवी की है
और सोचता हूँ मैं
ये नसीब वाले हैं
उसको देख सकते हैं
उससे बात करते हैं
ये इजाज़तों वाले
मुझसे कितने बेहतर हैं
मैं तो दाग़ था कोई
जो मिटा दिया उसने
गर मिटा दिया उसने
ठीक ही किया उसने,
तुमने हाल पूछा था
लो बता दिया मैंने
जो भी कुछ बताया है
उसको मत बता देना
पढ़ के रो पड़ो तो फिर
इन तमाम लफ़्ज़ों को
बस गले लगा लेना,
वो मेरी मोहब्बत है
और सदा रहेगी वो
जब नहीं रहूँगा तो
एक दिन कहेगी वो
तुम अली फ़क़त तुम थे
जिसने मुझको चाहा था
जिसने मेरे माथे को
चूम कर बताया था
तुम दुआ का चेहरा हो
तुम हया का पहरा हो
मैं तो तब नहीं हूँगा
पर मेरी सभी नज़्में
उसकी बात सुन लेंगी
तुम भी मुस्कुरा देना
फिर बहुत मोहब्बत से
उसको सब बता देना
उसके नर्म हाथों में
मेरा ख़त थमा देना
लो ये ख़त तुम्हारा है
और उसकी जानिब से
वो जो बस तुम्हारा था
आज भी तुम्हारा है
Read more

45. shaahsaazi mein riayaat bhi nahi karte ho..

shaahsaazi mein riayaat bhi nahi karte ho
saamne aake hukoomat bhi nahi karte ho

tumse kya baat kare kaun kahaan qatl hua
tum to is zulm pe hairat bhi nahi karte ho

ab mere haal pe kyun tumko pareshaani hai
ab to tum mujhse muhabbat bhi nahi karte ho

pyaar karne ki sanad kaise tumhe jaari karoon
tum abhi theek se nafrat bhi nahi karte ho

mashvare hans ke diya karte the deewaanon ko
kya hua ab to naseehat bhi nahi karte ho
------------------------------------
शाहसाज़ी में रियायत भी नही करते हो
सामने आके हुकूमत भी नही करते हो

तुमसे क्या बात करे कौन कहाँ क़त्ल हुआ
तुम तो इस ज़ुल्म पे हैरत भी नही करते हो

अब मेरे हाल पे क्यों तुमको परेशानी है
अब तो तुम मुझसे मुहब्बत भी नही करते हो

प्यार करने की सनद कैसे तुम्हे जारी करूँ
तुम अभी ठीक से नफ़रत भी नही करते हो

मश्वरे हँस के दिया करते थे दीवानों को
क्या हुआ अब तो नसीहत भी नही करते हो
Read more

46. tum jo kahte ho sunoonga jo pukaaroge mujhe..

tum jo kahte ho sunoonga jo pukaaroge mujhe
jaanta hoon ki tum hi gher ke maaroge mujhe

main bhi ik shakhs pe ik shart laga baitha tha
tum bhi ik roz isee khel mein haaroge mujhe

eed ke din ki tarah tumne mujhe zaaya kiya
main samajhta tha muhabbat se guzaaroge mujhe 
------------------------------------
तुम जो कहते हो सुनूँगा जो पुकारोगे मुझे
जानता हूँ कि तुम ही घेर के मारोगे मुझे

मैं भी इक शख़्स पे इक शर्त लगा बैठा था
तुम भी इक रोज़ इसी खेल में हारोगे मुझे

ईद के दिन की तरह तुमने मुझे ज़ाया किया
मैं समझता था मुहब्बत से गुज़ारोगे मुझे
Read more

47. jis tarah waqt guzarne ke liye hota hai..

jis tarah waqt guzarne ke liye hota hai
aadmi shakl pe marne ke liye hota hai

teri aankhon se mulaqaat hui tab ye khula
doobne waala ubharne ke liye hota hai

ishq kyun peeche hata baat nibhaane se miyaan
husn to khair mukarne ke liye hota hai

aankh hoti hai kisi raah ko takne ke liye
dil kisi paanv pe dharne ke liye hota hai

dil ki dilli ka chunaav hi alag hai sahab
jab bhi hota hai ye harne ke liye hota hai

koi basti ho ujhadne ke liye basti hai
koi mazma ho bikharna ke liye hota hai 
-------------------------------------
जिस तरह वक़्त गुज़रने के लिए होता है
आदमी शक्ल पे मरने के लिए होता है

तेरी आँखों से मुलाक़ात हुई तब ये खुला
डूबने वाला उभरने के लिए होता है

इश्क़ क्यूँ पीछे हटा बात निभाने से मियाँ
हुस्न तो ख़ैर मुकरने के लिए होता है

आँख होती है किसी राह को तकने के लिए
दिल किसी पाँव पे धरने के लिए होता है

दिल की दिल्ली का चुनाव ही अलग है साहब
जब भी होता है ये हरने के लिए होता है

कोई बस्ती हो उजड़ने के लिए बसती है
कोई मज़मा हो बिखरने के लिए होता है

Read more

48. paagal kaise ho jaate hain..

paagal kaise ho jaate hain
dekho aise ho jaate hain

khwaabon ka dhanda karti ho
kitne paise ho jaate hain

duniya sa hona mushkil hai
tere jaise ho jaate hain

mere kaam khuda karta hai
tere vaise ho jaate hain
-----------------------------
पागल कैसे हो जाते हैं
देखो ऐसे हो जाते हैं

ख़्वाबों का धंधा करती हो
कितने पैसे हो जाते हैं

दुनिया सा होना मुश्किल है
तेरे जैसे हो जाते हैं

मेरे काम ख़ुदा करता है
तेरे वैसे हो जाते हैं
Read more

49. Isee liye to mujhe sunke taish aaya hai..

isee liye to mujhe sunke taish aaya hai
tumhaara haal kisi aur ne bataaya hai

mujhe bata mera bhaai shaheed kaise hua
tu uske saath tha tu kaise bach ke aaya hai

abhi ye zakham kisi par nahin khula mera
abhi ye sher kisi ko nahin sunaaya hai 
-----------------------------
इसी लिए तो मुझे सुनके तैश आया है
तुम्हारा हाल किसी और ने बताया है

मुझे बता मेरा भाई शहीद कैसे हुआ
तू उसके साथ था तू कैसे बच के आया है

अभी ये ज़ख़्म किसी पर नहीं खुला मेरा
अभी ये शेर किसी को नहीं सुनाया है

Read more

50. Naya zaayqa hai maza mukhtalif hai..

naya zaayqa hai maza mukhtalif hai
ghazal chakh ke dekh is dafa mukhtalif hai

suno tumne duniya firee hai parindon
ye tanhaai kya har jagah mukhtalif hai

sada kaam kaise karegi wahan par
gali to wahi hai gala mukhtalif hai

hamaari tumhaari saza ik nahin kyun
hamaari tumhaari khata mukhtalif hai

tum abtak munaafiq dilon mein rahi ho
mere dil kii aab-o-hawa mukhtalif hai

vo rote hue hans pada aur bola
khuda aadmi se bada mukhtalif hai
------------------------------
नया ज़ायक़ा है मज़ा मुख़्तलिफ़ है
ग़ज़ल चख के देख इस दफ़ा मुख़्तलिफ़ है

सुनो तुमने दुनिया फिरी है परिंदों
ये तन्हाई क्या हर जगह मुख़्तलिफ़ है

सदा काम कैसे करेगी वहाँ पर
गली तो वही है गला मुख़्तलिफ़ है

हमारी तुम्हारी सज़ा इक नहीं क्यों
हमारी तुम्हारी ख़ता मुख़्तलिफ़ है

तुम अबतक मुनाफ़िक़ दिलों में रही हो
मिरे दिल की आब-ओ-हवा मुख़्तलिफ़ है

वो रोते हुए हँस पड़ा और बोला
ख़ुदा आदमी से बड़ा मुख़्तलिफ़ है

Read more

51. Pahle-pahal laḌenge tamasḳhur uḌaenge..

pahle-pahal laḌenge tamasḳhur uḌaenge
jab ishq dekh lenge to sar par biThaenge

tu to phir apni jaan hai tera to zikr kya
ham tere doston ke bhī naḳhre uThaenge

'ġhalib' ne ishq ko jo dimaġhi ḳhalal kaha
chhoḌen ye ramz aap nahin jaan paenge

parkhenge ek ek ko le kar tumhara naam
dushman hai kaun dost hai pahchan jaenge

qibla kabhi to taza-suḳhan bhi karen ata
ye char-panch ghazlen hi kab tak sunaenge

aage to aane dijiye rasta to chhoḌiye
ham kaun hain ye samne aa kar bataenge

ye ehtimam aur kisi ke liye nahin
taane tumhare naam ke ham par hi aenge
----------------------------------------
पहले-पहल लड़ेँगे तमसख़ुर उड़ाएँगे
जब इश्क़ देख लेंगे तो सर पर बैठाएँगे

तू तो फिर अपनी जान है तेरा तो ज़िक्र क्या
हम तेरे दोस्तों के भी नखरे उठाएँगे

'ग़ालिब' ने इश्क़ को जो दिमाग़ी ख़लाल कहा
छोड़ें ये रज़्म आप नहीं जान पाएँगे

परखेंगे एक-एक को ले कर तुम्हारा नाम
दुश्मन है कौन दोस्त है पहचान जाएँगे

क़िबला कभी तो ताज़ा-सुख़ान भी करें अता
ये चार-पाँच ग़ज़लें ही कब तक सुनाएँगे

आगे तो आने दीजिए रास्ता तो छोड़िए
हम कौन हैं ये सामने आ कर बताएँगे

ये एहतिमाम और किसी के लिए नहीं
ताने तुम्हारे नाम के हम पर ही आएँगे

Read more