Parveen Shakir Poetry

gham-e-ashishiqi tera shukhriya


gham-e-ashishiqi tera shukhriya

कभी रुक गए कभी चल दिए
कभी चलते चलते भटक गए
यूँही उम्र सारी गुज़र गई
यूँही ज़िन्दगी के सितम सहे

कभी नींद में कभी होश में
तू जहाँ मिला तुझे देख कर
न नज़र मिली न ज़ुबान हिली
यूँही सर झुका के गुज़र गए

कभी ज़ुल्फ़ पर कभी चश्म पर
कभी तेरे हसीं वजूद पर
जो पसंद थे मेरी किताब में
वो शेर सारे बिखर गए

मुझे याद है कभी एक थे
मगर आज हम हैं जुदा जुदा
वो जुदा हुए तो संवर गए
हम जुदा हुवे तो बिखर गए

कभी अर्श पर कभी फर्श पर
कभी उन के दर कभी दर -बदर
ग़म -ए -आशीकी तेरा शुक्रिया
हम कहाँ कहाँ से गुज़र गए

---------------------------------------

kabhi ruk gaye kabhi chal diye
kabhi chalte chalte bhatak gae
yunhi umar sari guzar gai
yunhi zindagi k sitam sahey

kabhi neend mein kabhi hosh mein
tu jahan mila tujhe dekh kar
na nazar mili na zuban hili
tu yunhi sar jhuka k guzar gae.

kabhi zulf par kabhi chashm par
kabhi tere haseen wajood par
jo pasand thy meri kitab mein
wo shair sary bikhair gae

mujhe yaad hai kabhi ek the
magar aaj hum hain juda juda
wo juda hue to sanwar gae
hum juda howe to bikhar gae

kabhi arsh par kabhi farsh par
kabhi un k dar kabhi dar-badar
gham-e-ashishiqi tera shukhriya
hum kahan kahan se guzar gaye

Poet - Parveen Shakir
Location: Karachi, Pakistan
Views: 577