Bashir Badr Poetry

Aankhon mein raha dil mein utar kar nahi dekha,


Aankhon mein raha dil mein utar kar nahi dekha,

आँखों में रहा दिल में उतर कर नहीं देखा
कश्ती के मुसाफ़िर ने समुंदर नहीं देखा

बे-वक़्त अगर जाऊँगा सब चौंक पड़ेंगे
इक उम्र हुई दिन में कभी घर नहीं देखा

जिस दिन से चला हूँ मिरी मंज़िल पे नज़र है
आँखों ने कभी मील का पत्थर नहीं देखा

ये फूल मुझे कोई विरासत में मिले हैं
तुम ने मिरा काँटों भरा बिस्तर नहीं देखा

यारों की मोहब्बत का यक़ीं कर लिया मैं ने
फूलों में छुपाया हुआ ख़ंजर नहीं देखा

महबूब का घर हो कि बुज़ुर्गों की ज़मीनें
जो छोड़ दिया फिर उसे मुड़ कर नहीं देखा

ख़त ऐसा लिखा है कि नगीने से जड़े हैं
वो हाथ कि जिस ने कोई ज़ेवर नहीं देखा

पत्थर मुझे कहता है मिरा चाहने वाला
मैं मोम हूँ उस ने मुझे छू कर नहीं देखा

--------------------------------

Aankhon mein raha dil mein utar kar nahi dekha,
Kashti ke musafir ne samundar nahi dekha.

Be-waqt agar jaoonga sab chonk padenge,
Ik umra hui din mein kabhi ghar nahi dekha.

Jis din se chala hoon meri manzil pe nazar hai,
Aankhon ne kabhi meel ka patthar nahi dekha.

Yeh phool mujhe koi virasat mein mile hain,
Tum ne mera kaanton bhara bistar nahi dekha.

Yaaron ki mohabbat ka yaqeen kar liya maine,
Phoolon mein chhupaya hua khanjar nahi dekha.

Mahboob ka ghar ho ya buzurgon ki zameenein,
Jo chhod diya phir usse mudh kar nahi dekha.

Khat aisa likha hai ke nageene se jude hain,
Woh haath, jis ne koi zevar nahi dekha.

Patthar mujhe kehta hai mera chaahne wala,
Main mom hoon, usne mujhe chhoo kar nahi dekha.


Poet - Bashir Badr
Location: Faizabad, Uttar Pradesh, India
Views: 576